LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED) - PowerPoint PPT Presentation

1 / 20
About This Presentation
Title:

LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED)

Description:

LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED) DAILY LESSON PLAN INSTRUCTIONAL LESSON Name of Topic : Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson) Class : V ... – PowerPoint PPT presentation

Number of Views:1312
Avg rating:3.0/5.0
Slides: 21
Provided by: dadark
Category:
Tags: about | ahmed | deputy | jeet | jis | lesson | mehnat | nazeer | uski

less

Transcript and Presenter's Notes

Title: LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED)


1
(No Transcript)
2
(No Transcript)
3
LESSON JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY
NAZEER AHMED)
  • DAILY LESSON PLAN
  • INSTRUCTIONAL LESSON
  • Name of Topic Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson)
  • Class V
  • Subject Urdu
  • Teacher Name Rizwana Abbasi
  • Date 02 July 2011

4
  • TOPIC BACKGROUND
  • IBTIDAI HALAT
  • Molvi Nazeer Ahmed (1830-1912) Molviyoum or
    Muftiyoun Ke aik Mazhabi khandan ma Bajnor (uttar
    Berdesh) mai, molvi Saadat Ali Khan ka Ghar Peda
    hoa.
  • Ibtidai Taleem Arabi ki, molvi Abdul Khaliq se
    masjid orangabad (Dehli) ma hasil ki phir
    1846-1853 tak Dehli College ma advance urdu,
    Arabi adab, Farsi or Riazi (Maths) ki taleem
    hasil ki.
  • PAS MANZAR
  • Shamsul-Ulema, Deputy Molvi Nazeer Ahmed Dehlvi,
    Urdu adab ke pehla novel nigar, adeeb, Naqqad,
    Mazhabi Scholar, Qanoondan or Maqsadi-o-Islahi
    novel nigari ke mojid tha.
  • Unho na musalmano khasosan aurton ke taleem or
    iqhlaqi islah ke lye Mara-ul-uroos, Ayyamah,
    Tauba-tun-Nasoh, Binat-ul-Naash,
    Fasana-e-Mubtala, Ibnul Waqt, Ruya-e-Sadiqah jese
    novel likha or eske elawa Quran Pak ka Bamahavra
    Tarjuma or Tazerat-e-hind Samet unki Beshumar
    Mazhabi Tasanef mojood han.

5
(No Transcript)
6
  • THEORY (KHASOSIYAT)
  • Nazeer Ahmed ne Maqsadi-o-Islahi novel likh kr
    zawal pazeer muslim Moashre ko Taraqqi ki rah pe
    gamzan kya.
  • Adab Barai-e-Khawateen ki bunyad rakh ke aurton
    ki taleem-o-tarbiyat ki rahaen hamwar ken.
  • Ap ne apna qalam ke zarye Angrezy zaban or jaded
    Taleem hasil karne, or Beja Rasm-o-Rivaj se rokne
    ki mohem chala kr musalmano ko zamane ke
    shana-ba-shana chalne ke gur sikhaya.
  • Maqsadiyat, Ikhlaqiyat ki taleem, Maashree ki
    sachi tasveer, Bamahavra zabanor purjosh-o-purzor
    Andaz-e-bayan ne apko itna buland muqam ata kya
    ke ajj bhi Pak-o-Hind ke nisab-e-taleem ma Nazeer
    Ahmed ke novel parhaie jate hn.

7
  • EFFECT (ASRAAT)
  • Apki maqsadi novels ke zarya di gai
    taleem-o-tarbiyat ne muslmano ki aisi zehni islah
    ki ke muslmano ki kaya palat gai, unhe jeena ka
    maqsad nazar aane laga. eski aik roshan messal
    Hasool-e-Pakistan ki jaddo-johad he.
  • Nazeer sahab ke novel ke zarya muslim moashre ma
    aurton ki taleem ka jazba bedar hoa or ye shaoor
    bedar hoa ke aurton ki taleem he moashree ma
    masbat tabdeli la sakti he.

8
  • CONCLUSION (HURFE-AAKHIR)
  • Nazeer Ahmed ki Adabi-o-qomi khidmat ka daira
    boht wasi he. unho ne Baik-waqt Mazhab, Qanoon,
    Novel, Tareekh (History) Seerat, Ikhlaq, Siyasat
    or Khitabat ma apne johar dekhai or mustaqil
    noiyat ke asrat choree. Sir syed ne jis tahreek
    ka Beej boya Nazeer Ahmed ne us Islahi Tehreek ko
    gharon ke andar tak pohanchaya.
  • Deputy Nazeer Ahmed ke bare ma ye kehna sahi hoga
    ke
  • HAZAROON SAAL NARGIS APNI BENORI PE ROTI HA
  • BARI MUSHKIL SA HOTA HA CHAMAN MA DEDAWAR PAIDA

9
(No Transcript)
10
  • QUIZ
  • 1. Urdu ke pehle novel nigar ka naam ___________
    he.
  • 2. Deputy Nazeer Ahmed ka pehla novel konsa he.
  • a. Tauba-tun-Nasuh
  • b. Marat-ul-Uroos
  • c. Ibn-ul-Waqat
  • d. Roya-e-Sadiqa
  • Marat-ul-Uroos ka matlab he Kuch nasihaten
  • Angrez hukumrano ne Nazeer Ahmed ko __________ ka
    Khitab Dya.
  • 5. Larkon ki Islah ke Lye Nazeer Ahmed ne Chand
    Pand kitab likhi.

Sahi
Ghalat
Sahi
Ghalat
11
  • Noval Marat-ul-Uroos ma ___________ bohat
    Tamezdar, Saliqamand or Ba-Ikhlaq thi.
  • 7. Sabaq Jis ki Mehnat uski jeet ma ___________
    Baat Baat pr farmaish karta, Zid karta lekin
    parhai ma dil na lagata.
  • 8. Nazeer Ahmed ne muslim nojawano ko hidayat ki
    thi ke agar Taraqqi ke medan ma aage barhna he to
    __________ Zaban zaror seekho.
  • a. Farsi b. Arabi
  • c. Angrezi d. Hindi
  • 9. Deputy Nazeer Ahmed ___________ (year) ma
    intiqal kr gai.
  • a. 1901 b. 1905
  • c. 1912 d. 1920
  • Sir Syed Ahmed khan jab bare bare jalse karte to
    Deputy Nazeer Ahmed ko zaroor Khitab Karna ke lye
    bulate.

Sahi
Ghalat
12
WEEKLY ACTION PLAN Name of Topic Sabaq Jis
ki Mehnat Uski Jeet (about Deputy Nazeer
Ahmed) Teachers Name Rizwana
Abbasi Institute DA Public School (OA
Levels) Subject Urdu Class V
13
  • LONG TERM GOAL
  • Pora saal Nisab ke mutabiq di gai taleem or
    Tariqa-e-Taleem ne Students ke ander kitni ilmi
    qabliyat peda ki, es baat ka andaza saal me 2
    dafa Mid term Exam or Final Exam le ke lagaya
    jai ga ta ke Tulba ki Kamzoriyon ko Janch kr unhe
    dor karne ki koshish ki ja sake or Tulba ma bhi
    Parhai ka shok roz-ba-roz farogh pai.

14
  • SHORT TERM GOAL
  • Tulba Ki Parhai Ma Dilchaspi Barhane or ilmi
    Qabliyat ma din-ba-din izafa karne ke lya tulba
    se jo kuch Parhaya ja chuka ho ga us ke bare ma
    Zubani-o-Tehreree test lye jai ge or her mahene
    ke ikhtitam per mahana test bhe lya jai ge, ta
    ke tulba na sirf nisab ke mutabik samajh len or
    yaad kr len bulke unhe yaad rakh ke ammali
    zindagi ma bhe unse faida uthain.

15
  • INSTRUCTIONAL STRATEGIES AND TASKS
  • Dorane tadrees meri ye awwalen koshish rahe gi ke
    tulba ko zyada se zyada swalat kerne ka moqa
    farahum kya jai.
  • Tulba ke kye gai sawalat ka unki zehni salahiyat
    ke mutabik jawab dya jai ga.
  • Class ma group discussion karwai jai gi ta ke
    tulba ma shoq peda ho.
  • Tulba ke banai gai groups ko tabdel (change) bhi
    kya jai ga ta ke unki malomat me khatir khoa
    izafa ho.
  • Tulba ko ye bhi moqa dya jai ga ke lesson ma se
    koe bhi sawal karen jin ka baqi tulba ma se koe
    aik jawab da ga.

16
SOLUTIONS TO ANTICIPATED CHALLENGES SOLUTIONS TO ANTICIPATED CHALLENGES
a. Kuch students aisa hon ga jin ko group discussion se lesson samjh na aai a. Ma aise Students ko alag betha ke dobara unki zehni sata ke mutabik samjhaongi.
b. Kuch Waldain mere Tariqa-e-Tadrees se Ikhtilaf bhe ker sakte hain b. Ma aise walden ko P.T.M ma apne naie (new) tariqa-e-tadrees se agah ker ke unhe satisfy karongi, or unke problems ko solve karon gi.
c. Mere Pas apna Computer mojod nahi ha. c. Ma school ma mojood Computer lab ja kar ya kisi friend ka computer se nisab ma mojood Asbaq ke bare ma khatir khoa malomat hasil karon gi.
d. Meri Section inchagre agar mere tariqa-e-tadrees ko behtar na samjhen ya kisi mamle ma Ikhtilaf kare. d. Ma Section Incharge ka sath meeting karke apne nuqta-e-nazar ko wazeh karon gi or apni kamzori ko dor karon gi.
17
NEWS LETTER NEWS LETTER
ES HAFTE CLASS MA PARHAIE JANE WALE MOZO-AAT (TOPICS) AGLE HAFTE CLASS MA PARHAIE JANE WALE MOZO-AAT (TOPICS)
a. Sabaq jis ki mehnat uski jeet ki buland khoani karwai jai gi. a. Sabaq Jis ki Mehnat uski Jeet ke mutabik sawalat dye jain ge phir tulba unke jawabat tehreet karenge.
b. Sabaq ma mojood mushkil alfaz ka matlab tulba ko samjhaya jai ga. b. Tulba ko sabaq ma mojood mushkil Alfaz dye jainge jin ke tulba maine (meaning) likhen ge.
c. Tamam Tulba se buland khoani karwai jai gi or unki ghaltiyon ko durust kya jai ga. c. Sabaq ma mojood kisi aik paragraph ka imla lya jaiga.
d. Tulba se zubani sawalat kye jainge. d. Sabaq ma mojood kuch alfaz ka jumle (Sentences) tulba khud tehreer karenge.
e. Group discussion lesson ke bare ma hogi.
18
TIME LINE
Sabaq Liaqat Ali khan Mahavrat, Maini,
Jumle Tarjuma Navisi, Mukalma Navisi, Wahid Jama
Sabaq Jiski Mehnat uski Jeet Mazmoon Navisi,
Kahani Navisi, Tasveri Kahani
NOVEMBER
MARCH
JANUARY
SEPTEMBER
Nazam Chalo Chalen Scout Banen Wahid Jama,
Alfaz Mutazad, Khat Navisi, Mahawratjumla
Nazam Qoomi Tarana Muzakkar Moannus, Turjuma
Navisi, Mazmoon Navisi, Mukalma Navisi
19
  • RESOURCES (ZARAIE)
  • Internet
  • 2. Word Processing, Multimedia Spread Sheets
  • 3. Ghair Nisabi Kutub
  • 4. Intel Teach program getting started course
    manual
  • 5. Urdu ke Dosra Asataza Karaam
  • 6. Akhbarat (News Paper) , Rasail

20
(No Transcript)
Write a Comment
User Comments (0)
About PowerShow.com