Duniya ke 7 ajuube hindi - PowerPoint PPT Presentation

About This Presentation
Title:

Duniya ke 7 ajuube hindi

Description:

Duniya ke saat ajuube aise adbhut prakritik or manav nirmit sanrachnao ka sankalan hai jo manushya ko aashcharyachakit karti hai. Pracheen kaal se vartmaan kaal tak duniya ke ajuuboon ki esi kai vibhin suchiyaan taiyaar ki gayi hain. Pracheen kaal ki kalakaari ek adbhut udharan hai jinhe dekh kar bahut aashcharya hota hai. – PowerPoint PPT presentation

Number of Views:93

less

Transcript and Presenter's Notes

Title: Duniya ke 7 ajuube hindi


1
Duniya Ke 7 Ajuube
  • Duniya ke saat ajuube aise adbhut prakritik or
    manav nirmit sanrachnao ka sankalan hai jo
    manushya ko aashcharyachakit karti hai. Pracheen
    kaal se vartmaan kaal tak duniya ke ajuuboon ki
    esi kai vibhin suchiyaan taiyaar ki gayi hain.
    Pracheen kaal ki kalakaari ek adbhut udharan hai
    jinhe dekh kar bahut aashcharya hota hai.

2
Pracheen kaal mein Duniya Ke 7 Ajuube
  • Giza ke Pyramid
  • Babylon ke jhulte baag
  • Olympia mein Zeus ki murti
  • Artemis ka mandir
  • Mausoles ka makbara
  • Rhodes ki vishal murti
  • Alexandria ka roshnighar

3
21vi Shatabadi mein Duniya ke 7 Ajuube
  • Tajmahal
  • Cheen ki vishal deewar
  • Chichen Itza
  • Colosseum
  • Christ the Redeemer ki pratima
  • Machu Pichhu
  • Petra

4
Tajmahal
  • Bharat ke Agra shehar mein sthit ek vishav
    dharohar makbara hai. Iska nirmaan mugal samraat
    Shah Jahan ne apni patni Mumtaaj ki yaad mein
    karvaya tha. Tajmahal ko Bharat ki Islaami kala
    ka ratna bhi ghoshit kiya gya hai.

5
Cheen ki vishal deewar
  • Cheen ki vishal deewar mitti aur patthar se bani
    ek kilenuma deewar hai jise cheen ke vibhin
    shasako ke dwara uttari hamlawaro se raksha ke
    liye panchavi shatabadi isa purv se lekar solhavi
    shatabadi tak banvaya gya. Iski vishalta ka
    andaza is baat se lagaya ja sakta hai ki is
    manavnirmit dhanche ko antarikash se bhi dekha ja
    sakta hai.

6
Chichen Itza
  • Mexico mein basi Chichen Itza namak imarat duniya
    mein maya sabhyata ki gauravpuran kaal ki gatha
    gaati hai. Is sidhidaar pyramid ka aadhar
    chaokoor hai aur charo or se sheersha par sthith
    mandir ke liye har taraf 91 sidhiyaan hain. Har
    sidhi saal ke ek din ka prateek hai aur mandir
    365ve din ka.

7
Colossium
  • Itally desh ke Rome nagar ke madhya nirmit Roman
    samrajaya ka sabse vishaal aliptikal amphithiator
    hai. Ye Roman sthapatya aur abhiyantriki ka
    sarvotkarisht namoona mana jata hai. Ye ek
    vishaal khel stadium hai jisme 50,000 log gulamo
    aur janvaro ki khuni ladai dekhte the.

8
Christ the Redeemer ki pratima
  • Brazil ke rio the jenero mein sthapit isa maseeh
    ki ek pratima hai jise duniya ka dusra sabse bda
    art decco statue mana jata hai. Ye pratima apne
    9.5 meter (31feet) aadhaar sahit 39.6 meter (130
    feet) lambi aur 30 meter (98 feet) chaudi hai.
    Iska vajan 635 ton hai aur Tijuka forest national
    park mein kokorvadoo parvat ki choti par sthit
    hai janha se pura shehar dhikahai deta hai.

9
Machu-Pichhu
  • Dakshin America desh Peru mein sthith ek columbus
    purv yug Inka sabhyta se sambandhit etihasik
    sthal hai. 15vi shatabadi mein sateha se 2430
    meter ke upar bana shehar apne aap mein ek ajuuba
    hai.

10
Petra
  • Jordan ke myaan prant mein sthith ek etihaasik
    nagri hai jo apne patthar se tarashi gayi
    imaratoon aur pani vahan pranali ke liye prasidh
    hai. Is imaarat mein ret se imaarato par sundar
    nakashi ki gayi hai. Aadhunik yug mein ye mashoor
    prayatak sthal hai.
Write a Comment
User Comments (0)
About PowerShow.com