Palak ke faide in urdu spinach benefits - PowerPoint PPT Presentation

About This Presentation
Title:

Palak ke faide in urdu spinach benefits

Description:

Palak ke faide in urdu spinach for skin hair body folic acid in urdu palak ke fayde in urdu benefits of spinach in urdu – PowerPoint PPT presentation

Number of Views:104
Slides: 6
Provided by: khurramaliali
Category:
Tags: palak

less

Transcript and Presenter's Notes

Title: Palak ke faide in urdu spinach benefits


1
Palak Ke Faide in Urdu
  • PK health Tips

2
  • Yeh sasti aur mufeed sabzi afzaiysh khoon ki
    salahiyat rakhti hai. Soch lijiye agar bimariyon
    ke khilaf dhal banana hai to sabziyon mein
    spinach ke istemal ko tarjeeh den. Palak ko taqat
    ka raaz bataya jata hai. Lekin hum log vegetables
    ke istemal mein pasand na pasand ke meyar par is
    ki tawanai bakhsh khasiyat ko fauqiyat nahi dete.
    Darasal humen maloom nahi hai ke Palak faulad aur
    hiyateen ke mehnge syrup se kae ziyada mufeed aur
    kargar hai. Lekin behtar yeh hai ke ise ziyada
    bhona na jae. Sabziyon mein yeh sasti aur mufeed
    sabzi hai, agar zaroorat se ziyada na bhona jae
    to tawanai waste nahi hoti.

3
  • Ramzan Sharif mein hamare gharon mein mamool hai
    ke piyaz aur aalo ke sath sath palak ko bhi besan
    laga kar fry kiya jata hai. Agar hum besam ki
    miqdar mein izafa na karen to behtreen snacks
    hai. Besan ke sath mil kar is ke ghizai johar
    mazeed barhte hain. Green vegetables ko istemal
    karne ki hidayat is liye bhi di jati hai kyun ke
    in mein Maney takseed ajzaa ziyada hote hain.
    Maslan Vitamin A, C, E, K aur B ke ilawa
    Potassium, faulad, calcium aur zinc chupe hote
    hain. Palak mein folic acid ki miqdar waste na
    karna ho aur khusoosan barhte hue bachon aur Maa
    banne wali khawateen ko qudrati ghiza deni
    maqsood ho to rozana ki khorak mein palak ke
    chand patte Bhaap mein gala kar khilane mufeed
    hote hain. Khusoosan hamla khawateen ko paaon
    soojne ka aarzaa lahaq hone par yeh gur aazmana
    chahiye, kyun ke palak mein koi darjan bhar
    nabatati ghizaiyat bakhsh ajzaa maujood hote
    hain. Jo sehat o tawanai ki tamer karte hain.
    Albatta Kidney ke amraaz mein mubtila afraad ke
    liye palak muzir sehat hai aur mardon mein
    protest gland ki afzaiysh ke daur mein palak mein
    iron ki maujodgi ke sabab muzir qarar di jati
    hai, unhe palak nahi khani chahiye.

4
  • Agar darjano ghizai johar kisi sabzi mein maujood
    hon aur Dr.ya tabeeb aap ko palak khane se
    aehteraz baratne ki hidayat nahi kar rahe to phir
    pasand na pasand ko balae taaq rakhiye aur in
    ajzaa se faiyda uthaiye. Jo aap ko Cancer jaise
    marz se muqabla karne ki salahiyat muhayya karte
    hain. Amraaz e qalb ka aik aeham sabab Haemostain
    qarar diye jate hain. Ghiza mein in ki kasrat
    falij ka sabab bhi ban sakti hai. Spinach mein
    aik ghizai johar foliate maujood hota hai. Jo
    haemostain ki muzarton ko aetedaal par rakhta
    hai.
  • Spinach cancer se tahaffuz dilata hai, to
    khawateen mein chest cancer ke khilaf madafati
    khobi se faiyda uthana chahiye. Is sabzi mein
    carotene ka johar masane ke ghudood ke cancer ka
    khatra kam karta hai. Is ke mutawatir istemal se
    Ghutiya, waram aur dard se nijat mil sakti hai.
    Maaney takeed ajzaa hamare jism ko free Radicals
    ki takaleef se mehfooz rakhte hain air is sabzi
    mein yeh ajzaa wafer miqdar mein paey jate hain.
    Agar aap beenaai ki hifazat chahte hain to khud
    bhi Spinach kahiye aur bachon ko bhi is sabzi ke
    istemal ka aadi banaiye, yeh girti hui aur kamzor
    naxar ko sambhalta hai aur motia band se bhi
    mehfooz rakhta hai. Salad ke taur par kacha na
    kha saken to bhaap mein tayyar kar len, magar is
    ke patte khob chaba chaba kar khaeye aur apni
    sehat ke tahaffuz ka saman kijiye.

5
PK HEALTH TIPS
Write a Comment
User Comments (0)
About PowerShow.com